Bismillah HIrrahman Nirrahim!!!
Mahfum-E-Hadith: Uskey maa baap ko Qayamat ke din ek taj pahnaya jayega
Hadith : Mu'adh
al-Juhani Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu
Alaihi Wasallam ne farmaya jis shaksh ne Quran parha aur uski taalim
par amal kiya to uskey maa baap ko Qayamat ke din ek aisa taj pahnaya
jayega jiski roshni suraj ki roshni se barh kar hogi aur us shakh ke
martabey ka kya thikana hoga jisney khud us par amal kiya hoga.
-Sunan Abu Dawud, vol1, 1440
Hadith : Abdullah ibn Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai
ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam
ne farmaya Allah subhanahu Qaymat ke din Sahib-e-Quran se farmayega
parhta ja aur ( jannat mein) charhta ja , thahar thahar kar parh jaisa ki
duniya mein thahar thahar kar parhta tha
kyunki tera muqam wo hai jaha tu aakhri aayat parhega.
-Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1451
Hadith : Sa'd ibn AbuWaqqas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
jo Quran ko achchi tarah se nahi parhta
wo hum mein se nahi.
-Sunan Abu Dawud, book 8 ,1456
Hadith : Sa'd ibn Ubadah Radi Allahu Anhu se rivayat hai
ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam
ne farmaya jo shaksh Quran parh kar bhula de wo Qayamat ke din Allah
subhanahu se khali haath hokar milega.
-Sunan Abu Dawud, , vol 1 , 1461
Hadith :
Uthman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi
Wasallam ne farmaya tum mein se behatreen wo hai jo Quran Majeed
parhey ( sikhey) aur parhaye ( sikhaye)
-
Sahih Bukhari, Vol 6 , 5028
---------------------------------
Hadith : Narrated
Mu'adh al-Juhani: The Prophet (peace_be_upon_him) said: If anyone
recites the Qur'an and acts according to its contents, on the Day of
Judgment his parents will be given to wear a crown whose light is better
than the light of the sun in the dwellings of this world if it were
among you. So what do you think of him who acts according to his.
-Sunan Abu Dawud, book 8 ,1448
Hadith : Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As: The
Apostle of Allah peace_be_upon_him said:
One who was devoted to the Qur'an will be told to recite, ascend and recite
carefully as he recited carefully when he was in the world, for he will reach
his abode when he comes to the last verse he recites.
-Sunan Abu Dawud, book 8 ,1459
Hadith : Narrated Sa'd ibn AbuWaqqas Radi Allahu Anhu :
The Apostle of Allah
peace_be_upon_him said: He who
does not chant the Qur'an is not one of us.
-Sunan Abu Dawud, book 8 ,1464
Hadith : Narrated Sa'd ibn Ubadah: The Prophet peace_be_upon_him said: No man recites the Qur'an, then forgets
it, but will meet Allah on the Day of Judgment in a maimed condition (or empty-handed,
or with no excuse).
-Sunan Abu Dawud, book 8 ,1469
Hadith : Narrated
'Uthman Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said,
"The best among you (Muslims) are those who learn the Qur'an and teach
it."
-
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 545
No comments:
Post a Comment