Search This Blog

Wo Azab e Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega


Bismillah Hirrahman Nirrahim!!! 
Mahfum-E-Hadith :  Shaheed Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega
Hadith : Rashid Bin saad Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se pucha ki  tamama musalmano ki qabr mein aazmayeesh ki jati hai lekin shaheed ki aazmayeesh kyu nahi hoti, Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmaya ki unke siro par talwar ki chamak ki aazmayeesh hi kaafi hai.
-Sunan Nasaii, Jild 1, 2057-Sahih

Hadith : Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi (achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAH usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayeg.
-Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih
---------------------------
حضرت رشید بن سعد رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ایک شخص نے عرض کیا: اللہ کے رسول! کیا بات ہے؟ سبھی اہل ایمان اپنی قبروں میں آزمائے جاتے ہیں، سوائے شہید کے؟ آپ نے فرمایا: ”اس کے سروں پر چمکتی تلوار کی آزمائش کافی ہے“۔ 
 سنن نسائی جلد ۱ ۲۰۵۷


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو شخص اللہ کے راستے میں «رباط» ( سرحد پر پڑاؤ ڈالے ہوئے ) مر جائے، تو جو وہ نیک عمل کرتا تھا اس کا ثواب اس کے لیے جاری رہے گا، جنت میں سے اس کا رزق مقرر ہو گا، قبر کے فتنہ سے محفوظ رہے گا، اور اللہ تعالیٰ اسے قیامت کے دن ہر ڈر اور گھبراہٹ سے محفوظ اٹھائے گا ۔

سنن ابن ماجہ جلد ۲ ۹۲۴ صحیح
---------------------------
Hadith : It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said:
“Whoever dies being prepared in the cause of Allah, will be given continuously the reward for the good deeds that he used to do, and he will be rewarded with provision, and he will be kept safe from Fattan (fitna or punishment of grave)  and Allah will raise him on the Day of Resurrection free of fright.”
-Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 24, Hadith 2767-Sahih

 
Hadith : It was narrated from Rashid bin Saad Radi Allahu Anhu  that a man among the Companions of the Prophet said O Messenger of Allah, why will the believers be tested in their graves except the martyr?" He said: "The flashing of the swords above his head is trial enough."
-Sunan Nasaii, Book 21, Hadith 2055-Sahih




No comments:

Post a Comment