Bismillah Hirrahman Nirrahim!!!
Mahfum-E-Hadith: Yah sab kaam jab (ek hi din) ek shakhs mein jama ho jate hain to wo jarur jannat mein jata hai.
Hadith : Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum mein se kaun aaj rozedar hai? Abu bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Main.
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Kaun aaj janaze ke saath gaya hai ?
Abu Bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Main.
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kisne miskeen ko khana khilaya hai ?
Abu Bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Maine.
Aap
Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kaun aaj mareez ki ayadat
karne ke liye gaya tha ?Abu Bakr Radhi allahu anhu ne kaha ki Main.
Phir
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ye sab kaam jab ( ek hi
din) ek shakhs mein jama ho jate hain to wo jarur jannat mein jata hai.
-Sahih Muslim, Vol 3,2375
-------------------------------
अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तुम में से कौन आज रोज़ेदार है? अबू बक्र रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की मैं.
आप साल-अल्लाहू अलैही वासल्लं ने फरमाया कौन आज जनाज़े के साथ गया है ?
अबू बक्र रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की मैं.
आप साल-अल्लाहू अलैही वासल्लं ने फरमाया की किसने मिस्कीन को खाना खिलाया है ?
अबू बक्र रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की मैने.
आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की कौन आज मरीज़ की अयादत करने के लिए गया था ?
अबू बक्र रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की मैं.
फिर आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की ये सब काम जब ( एक ही दिन) एक
शख्स में जमा हो जाते हैं तो वो ज़रूर जन्नत में जाता है.
-सही मुस्लिम, जिल्द 3, 2375
--------------------------
Hadith : Abu Huraira radi allahu anhu reported that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Who amongst you is fasting today? Abu Bakr Radhi allahu anhu said: I am.
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam Asked:
Who amongst you followed a funeral procession today?
Abu Bakr Radhi allahu anhu said: I did.
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam again Asked
Who amongst you served food to the needy?
Abu Bakr Radhi allahu anhu said: I did.
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam again Asked
Who amongst you has today visited the sick?
Abu Bakr Radhi allahu anhu said: I did.
Thereupon Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:
Anyone in whom (these good deeds) are combined (in a day) will certainly enter paradise.
-Sahih Muslim, Book 31, Hadith 5880
No comments:
Post a Comment